Pages

Thursday 26 April 2018

MS Word Me Formatting Kya Hai?

Formatting Kya Hai

Formatting Kya Hai? :


MS-Word mein Formatting ek aisa useful feature hai, jiska use hum text ke appearance ko change karne ke liye karte hain. Kisi bhi text ki formatting karke user use professional look de sakta hai. MS-Word mein user 3 type se formatting kar sakta hai—

(1) Character Formatting
(2) Paragraph Formatting
(3) Page Formatting

Microsoft Word Kya Hai  


(1) Character Formatting:


MS-Word package mein bahot saare letters, numbers, punctuation marks, symbols hote hain, jinki formatting user is tarha se kar sakta hai—
(i) Font ko change karna, Font size dena, Font ki style change karna, Font effect dena aur font color change karna.
(ii) Character ke beech space dena
(iii) Text par effect apply karna
(iv) Change Case ka use karke text ko Sentence Case, Upper, Lower, Toggle & Capitalize Each Word mein change kar sakte hain.

(2) Paragraph Formatting:


Paragraph formatting mein user pure document ke look ko change karke use ek professional look de sakta hai. Paragraph formatting ko basically three categories mein divide kiya jaa sakta hai—

(i) Change Paragraph Alignment
(ii) Indent Paragraphs
(iii) Add Borders & Shading
(iv) Change Spacing between Paragraph & Lines

(i) Change Paragraph Alignment: MS-Word ke Home tab mein Paragraph Alignment ek aisa option hai, jiska use karke user text ko kisi bhi side mein set kar sakta hai; like – Align Left, Align Right, Center & Justify.

(ii) Indent Paragraphs: MS-Word mein Indent Paragraph ek aisa feature hai, jiska use karke user paragraph ki line mein space increase karta hai. Iske use se user paragraph mein ek different type ki margin set kar sakta hai. Paragraph mein user different type ke indent ko set kar sakta hai, jo is prakaar hain—

·       First Line Indent
·       Hanging Indent
·       Left Indent
·       Right Indent

(iii) Add Borders & Shading: Paragraph formatting mein user different type ke borders and shading ka use karke apne page ke paragraph ko professional look de sakta hai.

(iv) Change Spacing between Paragraph & Lines: Is feature ka use karke user paragraphs ya lines ke beech space de sakta hai. Ismein 2 options hote hain—Add Space & Remove Space. User apni zarurat ke anusaar iska use kar sakta hai, apne paragraphs aur lines ke beech space dene ya di hui space ko remove karne ke liye.

(3) Page Formatting:


MS-Word package mein page formatting ek aisa useful feature hai, jiska use user page ke appearance ko change karne ke liye aur page ko ek professional look dene ke liye karta hai. MS-Word mein page formatting karne ke liye kayi options hain, jinka use user apni zarurat ke anusaar karta hai—

(i) Modify Page Margins & Orientations
(ii) Apply Page Border & Color
(iii) Insert Header & Footer
(iv) Lists
(v) Adding Tables
(vi) Graphics etc.

(i) Modify Page Margins: Page margins wo blank space hoti hai, jo user page mein text likhne par top, bottom & left, right mein chodta hai. MS-Word mein page margins ke kayi options hain, jinka use user apni zarurat ke anusaar kar sakta hai--

Top: Top margin use kahte hain, jo user page ke top par blank space chhodta hai.

Bottom: Bottom margin means page ke bottom mein di jaane waali space hoti hai.

Left: Left margin page ke left side mein di jaati hai.

Right: Right margin page ke right side mein di jaane waali blank space hoti hai.

Gutter: Ye ek special type ki page margin hai, jiska use user tab karta hai, jab use page ko binding karana hota hai, yaani Gutter margin ka use user page mein binding ke liye extra space dene ke liye karta hai.

(ii) Apply Page Border & Color: MS-Word mein user different type ke page borders & colors bhi add kar sakta hai, jo page ko different look deta hai.

(iii) Insert Header & Footer: Ye ek bahot hi useful option hai, jiska use karke user apne page mein title, page number, date etc. add kar sakta hai. Header page ke top mein title ya kuch bhi dene ke liye use hota hai aur footer page ke bottom ke liye use hota hai. Header & Footer add karne ka sabse bada benefit ye hota hai, ki jo bhi title ya date wagaira user ek page par deta hai, wo automatically dusre pages mein bhi add ho jaati hain.

(iv) Lists: MS-Word mein lists ek aisa useful feature hai, jo user ko document mein numbers & bullets ko add karne ki facility provide karta hai.

(v) Adding Tables: MS-Word mein jitni chahe, utni tables user add kar sakta hai aur usmein rows and columns ko zarurat ke anusaar add aur delete bhi kar sakta hai.

(vi) Graphics: MS-Word package ka use karke user different type ke graphics bhi add kar sakta hai, like - special characters, symbols, pictures, illustrations, watermarks etc.

MS Word Me Mail Merge Kya Hai

Mujhe ummeed hai doston Formatting in hindi ki ye post apko pasand ayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko  chahiye computer se related to aap mujhe comment kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks!

No comments:

Post a Comment