Pages

Sunday 3 February 2019

7 Best Android Apps

By : Ms. Nazish Farooqui-


Hello dosto kya apko pata hai duniya mein 7 best android apps kaun-kaun se hain?

Dosto aajkal badhti technology ke daur mein har koi smartphone use karne laga hai. Smartphone ne logo ki zindagi ko kaafi aasan bana diya hai aur to aur iski zarurat zyada se zyada badhti ja rahi hai.  Aane wale samay mein shayad hi koi aisa insan hoga Jo smartphone se door hoga.

Smartphone ki badhti lokpriyta ka bahot bada kaaran Internet hai, jiska use karke aaj log alag alag prakaar ke Apps ka use karte hain.

Dosto aaj ka humara topic 7 Best Android Apps hai. Ye free android apps hain, jo ajke samay mein bahut papular hain. Jise hum Google Play Store se badi asaani se download karke install kar sakte hain.

Dosto agar aap bhi ek smartphone user hain to kya aap jante hain ki aapke smartphone mein kaun se 7 applications hone chahiye jo apke smartphone ke liye zaruri hai? Agar nhi to aiye is post me hum aaj yahi jante hain-

7 Best Android Apps


7 Best Android Apps


1.  WhatsApp:

Best apps ki is list mein sabse pahle number par aata hai WhatsApp.  Ye ek aisa messenging app hai jo aaj ke samay mein adhik papular hai. Ye app India mein sabse zyada use kiye Jaane wala app hai.  WhatsApp apne user ko chatting, voice calling, video calling ki facilities provide karata hai.

2.  Hotstar:

Dosto best 7 android apps ki list mein Hotstar app bhi shamil hai. Ye ek entertainment app hai jispar aap apna manchaha serial, movie, news, cricket aur bhi bahut saare show dekh sakte hain. Ye app star group walon ki taraf se banaya gaya hai, is app ko aap Google Play Store se free mein download kar sakte hain.

3. Facebook Messenger:

Facebook Messenger bahut hi zyada popular messaging app hai. Google Play Store ne is app ko 4.1 ki rating di hai. Is app ke zariye dosto hum text, chatting, video calling, voice calling etc. kar sakte hain.  Is application ko Desktop, Tab, par bhi use kar sakte hain.  Ye application Google Play Store par free mein available hai.


4. Instagram:
Instagram application bhi aajkal bahut adhik use kiya ja raha hai. Ye application duniya bhar mein apni jagah banane me kamiyabi hasil karne ki daud mein hai. Is app ko Google Play Store ne 4.5 rating di hai. Ye app Google Play Store par free mein download kiya ja sakta hai.

5. Flipkart:
Dosto aap logo ne kabhi na kabhi online shopping zarur ki hogi. Aaj ke samay mein Flipkart ek aisa application hai, jiske zariye hum apne smartphone se online shopping kar sakte hain. Ye ek aisa application hai jiske dwara hum ghar baithe kuch bhi khareed sakte hain. Is app ke zariye hum kabhi bhi online shopping kar sakte hain iss application ko Google Play Store ne 4.5 ki rating di hai. Is app ko Play Store se bilkul free me download kar sakte hain.

6. Google Maps:
Best apps mein Google Maps bhi aata hai. Is application ke dwara hum kabhi bhi kisi bhi location ke bare mein jaan sakte hain aur ye app bahut hi kaam ka hota hai.  Iski madad se hum kisi bhi location par aasani se pahuch sakte hain.  Ye application Google Play Store par bilkul free me available hai.

7. TikTok:
Agar aap bhi mazakiya videos ke shaukeen hai to TikTok app sirf aapke liye hi hai. Ji haa doston, ye ek aisa social media app hai, jo user dwara sabse zyada use kiya jaa raha hai. Ispar aap alag alag prakaar ki videos bana sakte hain.

Main Nazish Farooqui ka bahut bahut shukriya karti hu ki unhone mere blog ke liye ek bahut hi acchi post likhi aur apna precious time diya. Agar aap bhi ek acche writer hain aur mere blog ke liye technical content likhna chahte hain to aap use likhkar mujhe zarnainnisar@gmail.com par email kar sakte hain. Pasand aane par main use aapke naam ke sath apni site par publish karungi.

 Mujhe ummeed hai doston 7 Best Android Apps in hindi ki ye post apko pasand aayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko  chahiye technology se related to aap mujhe comment bhi kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks! 

2 comments:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. Well... more than the best apps, you can say that they are the most popular ones, for example Telegram is a great app and it is not in the list like many others that can be considered in the same way. If you want you can go to https://plusapk.net/ to see other great apps.

    ReplyDelete