Thursday 22 February 2018

Computer History in hindi


Pahle ke computer bahot hi expensive aur large hote the, jinka use zyadatar badi badi companies aur organisations ke liye hota tha. Lekin jaise jaise computer technology ka development hota gaya, jaise jaise inke size and type mein changes hote gaye, inka use bhi har field mein badhta gaya aur aaj ye poore world mein use hone wali sabse famous  aur usable device ho gayi hai. Computer generation ke anusaar inki qualities mein bhi changes hote gaye. Computer ki size and technology ke anusaar inhe five generations me divide kiya gaya hai.


1.First Generation Computer (1946-1955, Vacuum Tube based)
2.Second Generation Computer (1955-1965, Transistors based)
3.Third Generation Computer (1965-1975, Integrated Circuit based)
4.Fourth Generation Computer (1975-1990, VLSI micro processor based)
5.Fifth Generation Computer (1990-till date, ULSI micro processor based).

1.First Generation Computer:


First generation computer ka time period 1946-1955 century tak maana jata hai. Is generation ke computer mein vacuum tubes ka use hota tha. Is type ke computer size mein bade hote the aur itni zyada garmi generate karte the ki inke liye A.C. bahot zaruri tha. Is generation ke computer speed mein slow hote the aur inka price bhi bahot high hota tha. ENIAC, EDVAC, UNIVAC, IBM-701, IBM-650  is generation ke computer ke example hain.

Types of Computer in hindi


Features:

1. Is generation ke computer vacuum tube based hote the

2. Unreliable hote the

3. Machine language ko support karte the

4. Bahot costly the

5. Bahot garmi generate karte the

6. Input/output device slow hoti thi

7. Is generation ke computer size me bahot bade hote the

8. Is type ke computer ke liye A.C. zaruri tha

9. Ye computer non-portable the


10. Is generation ke computer electricity bahot consume karte the
             

2.Second generation computer:


Second generation computer ka time period 1955-1965 century tak maana jata hai. Is generation ke computer mein transistors ka use hota tha, jo ki vacuum tube ke comparison mein kafi better hota hai. Is generation ke computer ka size small aur speed first generation ke computer se bahot better thi. Is generation ke computer mein assembly and high level language use hoti thi like FORTRAN, COBOL etc.. IBM 1620, IBM 7094, CDC 3600, UNIVAC 1108 computer is generation ke example hain.

Features:

1. Is generation ke computer mein transistors ka use hota tha

2. First generation ke comparison mein ye computer zyada reliable hote the

3. Is generation ke computer ka size first generation ke comparison mein small hota tha

4. Ye first generation ke comparison mein kam garmi generate karte the

5. Is generation ke computer ki speed first generation ke comparison mein fast hoti thi

6. Is generation ke computer kam electricity consume karte the

7. A.C. zaruri thi

8. Is generation ke computer bhi costly the


9.  Machine aur assembly language support karte the



3.Third Generation Computers:


Is generation ke computer ka time period 1965-1975 century tak maana jata hai. Is generation ke computer me Integrated Circuit ka use hota tha. Is generation ke computer size mein small, speed mein bahot fast aur bharosemand the. Inki speed itni zyada hoti thi ki ye 1 second mein lakho bar calculation kar sakte the. Is generation ke computer size mein small hone ke sath hi inke price bhi kam hote the, jisse ki inka use chote organization se lekar government office tak possible hua. IBM-360 series, Honeywell-6000 series, PDP (Personal Data Processor), IBM-370/168, TDC-316 computer is generation ke example hain.


Features:

1. Integrated circuit ka use hota tha

2. Bahot reliable hote the

3. Size mein small hote the

4. Is generation ke computer kam garmi generate karte the

5. Bahot fast hote the

6. A.C. ki need thi

7. Kam electricity consume karte the


8. High level language ko support karte the.



4.Fourth Generation Computers:


Is generation ke computer ka time period 1975-1990 century tak maana jata hai. Is generation ke computer mein VLSI (Very Large Scale Integrated) ka use hota hai. Isme ek micro chip par laakho transistors ko jama kar diya jata hai. Ye computer size mein bahot small hote hain, jise ek table par easily set kiya ja sakta hai. Inme electricity kam lagti hai aur inke price bhi kam hote hain. Isi wajah se ye computer personal use ke liye bahot popular hain. Is generation ke computer ke liye C, C++, Dbase etc. high level languages ka use hota hai. DEC 10, STAR 1000, PDP 11, CRAY-1 (Super Computer), CRAY-X-MP (Super Computer) etc. is generation ke computer ke example hain.

Features:

1. Is generation ke computer mein VLSI technology ka use hota hai

2. Is generation ke computer portable and reliable hote hain

3. Ye computer bahot kam price ke hote hain

4. Is generation ke computer size mein bahot small hote hain

5. Ye computer personal use ke liye bahot zyada popular hain

6. Is generation ke computer mein A.C. ki requirement nahi hoti hai

7. In computer mein internet ka use hota hai

8. Is generation ke computer easily available hote hain


Programming Languages in hindi                                                        
5.Fifth Generation Computer:


Is generation ke computer ka time period 1990 century se ab tak maana  jata hai. 1990 ke baad se aise computer ka development ho raha hai jo decision making aur self thinking ke liye bhi kaam kare. Is type ke computers ko super computer kahte hain jo ki AI (Artificial Intelligence) par based hain. Is generation ke computers me VLSI ki jagah ULSI (Ultra Large Scale Integrated) technology ne le li. Desktop, Laptop, Notebook, UltraBook, ChromeBook etc. is generation ke computer ke example hain.


Features:

1. Is generation ke computer mein ULSI technology ka use hota hai

2. Is generation ke computer mein true artificial intelligence ka use ho raha hai

3. Ye computer parallel processing mein bahot hi expert hain  

4. Is generation ke computer user friendly hote hain


5. Ye bahot hi powerful aur bahot hi lowest price mein available hote hain.


Mujhe ummeed hai doston Computer Generation in hindi ki ye post apko pasand ayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko  chahiye computer se related to aap mujhe comment kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks! 

3 comments:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete