MS PowerPoint ek aisa program hai, jiska use karke Presentation tayaar ki jaati hai. Ye Business, Education, Medical, Engineering har field ke liye bahot hi useful hai. To chaliye aaj is post mein hum MS-Power Point ki basic chizein jaante hain.
What is MS PowerPoint (MS PowerPoint kya hai)?:-
MS PowerPoint ka full form Microsoft PowerPoint hai. Ye Microsoft company dwara banaya gaya ek Application hai, jiska use electronic slide (page) dwara presentation tayaar karne ke liye kiya jaata hai. MS PowerPoint ka use karke aap ismein Photo, Video, Audio, Animation, Transition etc. add kar sakte hain. Iske alawa ismein bahot saari Predesigned Templates hoti hain, jinka use karke kisi bhi presentation ko professional look diya jaa sakta hai.
How to Open MS PowerPoint (MS PowerPoint ko kaise Open karein)?:-
MS PowerPoint ko 2 type se open kar sakte hain—
Method-1:
Go to Start Button → All Programs → Microsoft Office → Microsoft PowerPoint.
OR
Method-2:
Go to Start Button → Search → Type PowerPoint → Enter.
Elements of MS PowerPoint Window (MS PowerPoint window ke parts):-
MS PowerPoint screen ko kayi parts mein divide kiya gaya hai. Yaha iske har ek part ko hum detail mein janenge—
(1) Office Button:
Office Button PowerPoint screen ke sabse upar left corner par hota hai. Ye MS PowerPoint ka bahot hi important part hota hai, jismein PowerPoint ki file jise slide kahte hain, usse related kayi saare options hote hain, e.g:- New, Open, Save, Save As, Open, Print etc.
(2) Quick Access Toolbar:
Quick Access Toolbar, jo ki naam se hi samajh aa raha hai. Ye MS PowerPoint ka shortcut option hota hai, jismein hum un commands ko add kar sakte hain, jiski humein bar-bar zarurat padti hai. Iske use se kaam ko speed se kiya jaa sakta hai.
(3) Title Bar:
Title Bar MS PowerPoint window mein sabse upar center par hota hai, jismein MS PowerPoint ka file name show hota hai. Jab tak file name ko kisi dusre naam se save nahi kiya jaata, tab tak yaha par Presentation1 show karta hai.
(4) Menu Bar:
Menu bar Title bar ke niche hota hai. Menu bar ko ab Tabs kaha jaata hai. Isme kayi options hote hain aur har option ka apna khud ka Ribbon hota hai.
(5) Ribbon:
Ribbon Menu bar ke theek niche hota hai. Menus par click karne par unke khud ke options open hote hain jinhe Ribbon kaha jaata hai.
(6) Text Area:
Text Area MS PowerPoint ka main part hota hai, jise MS PowerPoint mein slide kahte hain. Isi par Text, Image, Audio, Video etc. add karke presentation ko prepare kiya jaata hai.
(7) Status Bar:
Status bar Text Area ke theek niche show karta hai, jismein Slide Number, Themes, Zoom Level etc. tools hote hain.
Conclusion:-
Is post ko likhne ka mera main purpose tha aapko PowerPoint ki information ko easy language mein batana. I hope aapko is post mein MS PowerPoint kya hai? Iska use kaha aur kis liye karte hain? Sab samajh mein agaya hoga.
Mujhe ummeed hai doston MS PowerPoint in hindi ki ye post apko pasand ayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko chahiye computer se related to aap mujhe comment kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks!
Nice Thanks jb zrorat parri to apko batadonga ok
ReplyDelete