Sunday 16 September 2018

BCA Course Kya Hai? Puri Jankari

BCA Course

Hello friends, kaise hain aap sab? I hope aap sab maze main honge. Is post mein aaj hum baat karne waale hain 'BCA Course' ke bare mein jo ki ek computer course hai aur ise har wo person kar raha hai, jise computer mein interest hai. To chaliye aaj hum is course ko details mein jaante hain.

What is BCA (BCA Kya hai)?:- 


BCA ka full form Bachelor of Computer Application hai. Ye ek 3 years ka computer course hai, jismein 12th karne ke baad admission lekar aap technical seekh sakte hain aur is field mein ek acchi job paa sakte hain.
Is course mein aapko computer se related bahot saari chizein seekhne ko milti hain jaise – Software development, Web designing etc. Iske alawa agar aap aagey padhai karna chahte hain to MCA (Master of Computer Application) ya MBA (Master of Business Administrator) karke kisi acchi multinational company ya government sector mein acchi job kar sakte hain aur agar aap independent hokar kaam karna chahte hain to aap khud ka online business bhi start kar sakte hain, jismein aap alag-alag type ke software aur websites design karke sell kar sakte hain.

Eligibility of BCA Course (BCA course karne ke liye Yogyeta):- 


BCA course karne ke liye aapko kam se 50% marks se 12th pass karna hoga. Uske baad BCA ke liye aap entrance exam de sakte hain. Aap chaahe Commerce, Science, Arts kisi bhi faculty ke ho 12th karne ke baad BCA mein admission le sakte hain, lekin kuch Universities aisi bhi hoti jo sirf Science aur Maths ke students ko hi BCA mein admission deti hain, kyonki BCA ka zyadatar syllabus maths par based hai. Agar aapne 12th mein Arts subject liya hoga aur aapki maths weak hogi to aapko BCA course karne mein bahot difficulty hogi.

Syllabus & Subjects of BCA Course (BCA ka Syllabus aur Subjects):- 


BCA course completely English mein hota hai, isliye aapko English language acche se aani chahiye. BCA ek computer course hai, isliye ismein saare subjects computer se related hi hote hain. BCA ka syllabus har university mein different-different type se design kiya jaata hai, lekin sabka 90% syllabus same hi hota hai.

1. Basic Computer: Is subject mein starting mein basic computer padhaya jaata hai, jismein MS-Office, Computer Hardware etc. ki knowledge di jaati hai. Ye subject unke liye bahot hi accha hota hai, jinhe computer ki bilkul bhi knowledge nahi hoti.

2. Programming Languages: BCA mein basic computer padhane ke baad aagey chal kar kayi programming languages like C, C++, VB, C#, JAVA etc. padhaya jaata hai.

3. Web Designing Languages: Ismein HTML, CSS, javascript, php, .net etc. subjects hote hain, jiska use karke website banayi jaati hai.

4. Databases: BCA mein database se related subjects bhi padhaye jaate hain e.g:- MySQL, Oracle etc.


Scope of BCA Course:- 


Scope of BCA Course

BCA ke baad aapke paas bahot saare options hote hain, jo ki aagey padhai karne aur jobs se related hote hain. Agar aap aagey aur padhai karna chahte hain, to aap BCA ke baad MCA aur MBA jaise professional course kar sakte hain, iske alawa aap competitive exams ki tayari bhi kar sakte hain.

BCA ke baad agar aap job karna chahte hain, to bhi kar sakte hain. Agar aap ek acchi University se BCA karte hain, to waha par kayi saari companies campus interview ke liye aati hain, jo final year ke students ko interview ke medium se jobs provide karti hain. Iske alawa aap alag se bhi bahot saari multinational companies mein job ke liye apply kar sakte hain ya apna khud ka business bhi start kar sakte hain.

Conclusion:- 

Is post ko likhne ka mera main target tha, aap sabhi ko BCA ki knowledge provide karna. Aur main ummeed karti hun ki is post mein aapko samajh aagaya hoga ki BCA kya hai? Syllabus of BCA, Scope of BCA etc.. To jo students computer field mein apna career banana chate hain, unke liye BCA ek acchi choice hai.

Mujhe ummeed hai doston BCA in hindi ki ye post apko pasand ayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko  chahiye computer se related to aap mujhe comment kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks!  

14 comments:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. Great Information. Thanks for sharing.

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  5. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  6. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  7. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  8. <a href="http://anushkasen.in/tamilrockers-free-download-latest-movies-via-new-links/>anushkasen.in</a>

    ReplyDelete
  9. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  10. Nice blog!!! Good to see such a wonderful blog. We offer Direct admission in BCA colleges on Behalf of your academic percentages Like your 10th,12th percentage and Entrance Score. Best BCA Course in Delhi

    ReplyDelete
  11. Nice blog thanks sharing with us
    BCA scope in India

    ReplyDelete