Wednesday 17 October 2018

Gmail Signup Kaise Karein? Puri Jankari

Gmail Signup Kaise Kare
Hello doston, main Zarnain Nisar ek bar phir aapke samne ek naya topic lekar aayi hun, jiska naam hai Gmail Signup. Aaj hum janenge ki Gmail hota kya  hai ? Aur ispar signup kaise karte hain ? Lekin usse pahle main aapse maafi chahungi ki kaafi time se main aapke liye post nahi likh payi aur wo isliye kyonki  maine gyanapp.in ke liye bhi content likhna start kiya hai, isliye main khud ke blog par post update nahi kar payi. Lekin ab main puri koshish karungi ki regular apne blog aur gyanapp.in dono ke liye post likhun. To chaliye ab hum baat karte hain humare aaj ke topic par jo ki Gmail Signup hai.

What is Gmail Signup (Gmail Signup kya hai)?:-


Gmail ek Email ki service hai, jiska use karke hum kisi ko bhi Electronic Mail (Email) bhej sakte hain. Lekin gmail ka istemal hum tabhi kar sakte hain, jab hum ispar Login honge. Ab aap soch rahe honge ki abhi tak Signup nahi samajh aaya aur ye Login ki baat kar rahi hain. To pareshan hone ki zarurat nahi hai in dono mein fark ye hota hai ki jab hum gmail par signup karte hain to us signup ke dwara humara ek Id aur Password generate hota hai, jisse hum gmail par login hokar kisi ko bhi email bhej sakte hain.

Gmail Signup karna koi mushkil kaam nahi hai, ye bahot hi asaan hai. Ispar koi bhi apna account bana sakta hai. Ispar signup karne ke liye aapko sirf ek form fill karna hota hai, jismein aapko apni saari original details bharni hoti hain. Jaise- Name, Surname, Date of Birth, Gender etc. Is process ko aap Registration bhi kah sakte hain. Aap kahin par bhi bina signup kare login nahi kar sakte. Chaahe wo gmail ho ya other social sites like Facebook etc. Ye to hum jaan gaye ki Gmail Signup aur Login hota kya hai? Ab hum Gmail par Signup karna sikhenge.

How to Create Gmail Account (Gmail Signup kaise karte hain) ?:-


Aaj ke time mein Email Id har ek ki zarurat ban gayi hai, bina iske koi bhi Online kaam ho paana mushkil hai. Chaahe wo Job se related ho ya kisi Application ka use karna ho har cheez ke liye Email Id ki zarurat padti hai. Isse humara kaam bahot hi easy ho jaata hai. To chaliye ab hum neeche bataye gaye steps ko follow karke Gmail Signup karte hain-

Step-1:  

Gmail Id banane ke liye aapke paas 3 cheezon ka hona bahot zaruri hai-
(1) Mobile Number
(2) Mobile/Computer
(3) Internet

Step-2: 

Ab aapko Google ki official website www.gmail.com par jaana hoga, phir Create aacount par click karna hoga.

Gmail Signup


Step-3:
 
Ab ek new page open hoga, yaha par apni sabhi original details bharni hai. Jaise- First name, Last name. First name mein apna naam aur Last name mein apna surname dalna hai.

Step-4: 

Choose your username mein aap wo naam dalenge, jo email id ke roop mein use hoga. Jaise – ashutoshsingh, ashutosh99, ashutosh799 etc.. aapko yaha par unique name dalna hai jo kisi dusre ka na ho.

Step-5:

Create a password aapko wo password dalna hai, jo aap yaad rakh sakein.

Step-6:

Confirm your password mein phir se wahi password dalna hai.

Step-7:

Birthday mein aapko apni Date of Birth dalni hai.

Step-8:

Gender ke option mein aapko Male (boy) ya Female (girl) dalna hoga.

Step-9:

Mobile phone mein aapko wo phone number enter karna hai, jisse aap apna account bana rahe hain.

Step-10:

Your current email address mein agar pahle se hi koi email id hai to daal sakte hain, nahi to ise khaali rahne dijiye.

Step-11:

Location mein aapko India select karna hai aur Next step par click kar dena hai. 

Gmail Signup Page
  
Step-12: 

Jaise hi aap next par click karenge, aapke saamne ek pop-up open hoga, jismein privacy policy hogi. Ise padhkar “I Agree” par click karna hai.

Gmail Signup Agree Page

Step-13:

Agree karte hi aapke samne Welcome ka page open hoga, jismein aapko aapki email id dikhayi degi (Jo ki is tarha ki hogi – ashutoshsingh@gmail.com). Ab neeche Continue ke button par click kariye.

Gmail Signup Welcome Page

Is tarha se aap badi hi asaani se apna Gmail account create kar sakte hain. Agar ye post aapko useful lagi ho to ise apne friends ke sath share karna na bhulein. 


Mujhe ummeed hai doston Gmail Signup in hindi ki ye post apko pasand ayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko  chahiye computer se related to aap mujhe comment kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks! 

No comments:

Post a Comment