Thursday 22 February 2018

Types of Computer in hindi


Computer ko directly classify karna itna easy nahi hai. Apni capability aur purpose ke anusaar ye different type ke hote hain, jinka classification unke work, purpose aur use par depend karta hai.

1. Purpose aur hardware ki design ke base par
2. Size aur capability ki design ke base par

1. Purpose aur hardware ki design ke base par computer ko three categories mein devide kiya gaya hai—

I.  Analog Computer
II. Digital Computer
III. Hybrid Computer

Introduction to a Computer in hindi                                       

I. Analog Computer:­ 


Is type ke computer input ke roop mein data ki jagah qualitative information lete hain aur output bhi waisa hi dete hain. Ye computer continuous signal par kaam karte hain aur input ke roop mein aisi hi cheeze lete hain jinhe continuously naapa ja sakta ho e.g. Temperature, volume, speed, voltage, weight etc.

II.Digital Computer: 


Digital computer input ke roop mein numbers lete hain, jo ki o aur 1 ke form mein hota hai, jinhe binary number kahte hain. Ajkal isi type ke computer zyadatar har field mein use hote hain.

Computer History in hindi

III.Hybrid Computer:  


Hybrid computer aise computer hote hain jinka use special purpose ke liye hota hai. In computer mein Analog aur Digital dono computer ke features hote hain. Ye computer us field mein use hote hain, jahan par analog aur digital dono type ke process ko complete kiya jata hai e.g. hospital, patrol pump etc. field mein inka zyada use hota hai.

2. Size aur capability ke base par computer ko 4 parts mein categorize kiya gaya hai—

I.  Micro Computer
II. Mini Computer
III.Mainframe Computer

I. Micro Computer: 


Ye computer size mein chhote hote hain aur ye personal use ke liye zyada popular hain. Size mein chhote hone ki wajah se inhe ek table par easily set kiya ja sakta hai. Ye computer digital computer hote hain jo microprocessor par kaam karte hain. Ye computer wordprocessing, accounting, desktop publishing etc. ke kaam ke liye zyada use hote hain.

Microsoft Word in hindi    

II. Minicomputer:­ 


Minicomputer midsize computer hote hain. In computers par ek sath kayi user kaam kar sakte hain aur isme zarurat ke anusaar ek se zyada C.P.U. ho sakte hain. Ye computer speed aur memory mein micro computer se fast hote hain aur inka price bhi micro computer se zyada hota hai.

III.Mainframe Computer: 

Mainframe computer ka size and capability mini computer se bahot zyada hoti hai. In par ek sath multiuser kaam kar sakte hain. Ye computer bahot zyada garmi generate karte hain, isliye in computers ke liye A.C. zaruri hai. In computer par bade se bade data ki processing bahot fast hoti hai, jiski wajah se inka use bade bade organization mein hota hai.

Hardware and Software in hindi

IV. Super Computer: 



Super computer sabhi computer ke comparison mein sabse zyada powerful computer hai. Ye size mein bade aur speed mein mainframe se zyada fast hote hain ki 1 second mein kharbon calculations easily kar lete hain. Ye computer bhi multiuser computer hai, jispar ek time par ek se zyada user kaam kar sakte hain. Multi features hone ki wajah se ye bahot costly hote hain, isliye inka use special purpose ke liye hota hai e.g. scientific simulation, graphs, electronic design etc.


Mujhe ummeed hai doston Types of Computer in hindi ki ye post apko pasand ayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko chahiye computer se related to ap mujhe comment kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki.....Thanks! 

3 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  3. Zarnain Computer Knowledge: Types Of Computer In Hindi >>>>> Download Now

    >>>>> Download Full

    Zarnain Computer Knowledge: Types Of Computer In Hindi >>>>> Download LINK

    >>>>> Download Now

    Zarnain Computer Knowledge: Types Of Computer In Hindi >>>>> Download Full

    >>>>> Download LINK lh

    ReplyDelete