Thursday, 26 April 2018

Computer Network Kya Hai? Jaane Puri Jankari

Computer Network Kya Hai

Jab 2 ya 2 se zyada computers kisi medium ki help se aapas mein connect kiye jaate hain, to use Computer Network kahte hain.

Har computer ka transmission sector different-different hota hai. Kuch network ka use ek limited area mein hi jaise 1km. tak hi ho sakta hai aur kuch network pure world ke computer ko data transfer ki facility provide kar sakte hain.

Computer network mein user na sirf apne computer ke resources ka use kar sakta hai, balki dusre computer aur computer ke devices, like –  Printer, Scanner, Hard Disc, CD Driver etc. ka bhi use kar sakta hai, chaahe wo kitni hi duri par kyon na ho. Ek computer network technique har scope se zyada useful hai.

Input Aur Output Devices Kya Hai


Advantages of Networking:


(i) Resource Sharing
(ii) Speedy Transmission of Data
(iii) Reliability

(i) Resource Sharing: User network ke kisi bhi computer se attached hue resource ka use network ke dusre computers par kaam karte hue kar sakta hai, e.g.- Agar kisi computer ke sath Lazer Printer attached hai, to network ke sabhi computers se us Printer par koi bhi document print kiya jaa sakta hai, isse hardware par hone waale expenses par bachat hoti hai.

(ii) Speedy Transmission of Data: Computers ke networking se 2 computers ke beech information ka transmission fastly aur safely hota hai. Ismein fast speed se kaam hota hai aur time ki bachat hoti hai.

(iii) Reliability: Networking mein kisi file ki 2 ya usse zyada copies alag-alag computers par store ki jaa sakti hain. Agar kisi wajah se ek computer kharab ya fail ho jaata hai, to wo data dusre computers se extract kiya jaa sakta hai. Is tarha network ke computers ek dusre ke liye backup ka kaam bhi kar sakte hain, jisse unki reliability badhti hai.

Types of Computer Network:


Information ka distribution, reliability aur trust etc. ki wajah se network ko three categories mein divide kiya jaata hai—

(i) Local Area Network (LAN)
(ii) Metropolitan Area Network (MAN)
(iii) Wide Area Network

(1) Local Area Network or LAN: 



Computer Network

Aise network ke sabhi computers ek limited area mein hote hain. Ye area kam se kam kuch km. tak hota hai, e.g:- floor, building etc… LAN mein connect kiye gaye computers 2 ya usse zyada ho sakte hain. In computers ko kisi communication cable dwara aapas mein connect kiya jaata hai, e.g:- Twisted Pair Cable, Coaxial Cable & Fiber Optic Cable.

Data Communication Kya Hai

Advantages: LAN ke kuch main advantages is prakaar hain—

(1) Ye humein costly devices like — Laser Printer, zyada capacity aur speed waali storage devices ke use ki facility provide karte hain.

(2) Ye ek organization mein kaam karne waale employees ke beech zaruri informations ko quickly aur easily transmit karne ki facility provide karta hai.

(3) Is network se user ko sabhi computers par alag-alag application software aur operating system nahi lagane padte hain aur network ke use se time and place dono ki bachat hoti hai.

Disadvantages: LAN ke disadvantages is prakaar hain—

(1) Ye network se attached computers aur unke operations ki difficulties ko badhata hai.

(2) LAN topology ke kuch prakaaro mein ek computer ke fail hone par, saara network fail ho jaata hai.

(2) Metropolitan Area Network or LAN: 



Computer Network

Ye size mein LAN se bada hota hai aur ye kayi saare LAN ke combination se banta hai. MAN ki help se hum ek city mein ek network establish kar sakte hain. Kisi bhi city mein Coaxial Cable ke through Cable T.V. (Television) ki broadcasting MAN ka hi example hai. Is network ko establish karna, LAN ke comparison mein costly hota hai, kyonki iska geographical area LAN se zyada hota hai.

Advantages: MAN ke main advantages kuch is prakaar hain—

(i) Ye ek broad area ke network ke liye useful hai, e.g:- Meruth to Delhi

(ii) Is network mein LAN network ke comparison mein zyada computer connect kiye jaa sakte hain.

Disadvantages: MAN ke main disadvantages is prakaar hain—

(i) MAN mein data transmission ki speed LAN se kam hoti hai.

(ii) MAN ki maintenance bahot costly hoti hai.

(3) Wide Area Network or WAN: 



Computer Network

WAN ek bahot bade size ka data network hota hai. Ye bahot saare LAN or MAN ke combination se banta hai. Ismein data transmission speed LAN ke comparison mein slow hoti hai. WAN se connected computers aur devices ek dusre se hazaron km. ki distance mein bhi ho sakte hain. WAN ek aisa network hai, jo pure world mein phaila hua hai. Is network ko Fibre Optic Cable ya wireless technologies ke through establish kiya jaata hai.

Advantages: WAN ke main advantages is prakaar hain—

(i) WAN network ka broadcast pure world mein hai.

(ii) Ye information ke transmission ko easy bana deta hai.

Disadvantages: WAN ke main disadvantages is prakaar hain—

(i) Size mein bada hone ki wajah se ismein data transmission ki speed slow hoti hai.

(ii) WAN network establish karna aur uski maintenance karna bahot costly hota hai.

(iii) WAN network par complete data security nahi hai.



Mujhe ummeed hai doston Computer Network in hindi ki ye post apko pasand ayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko  chahiye computer se related to aap mujhe comment kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks!

5 comments: