Friday 7 December 2018

C Programming Language Kya Hai? Puri Jankari

C Programming Language

Hello doston, main Zarnain Nisar, Zarnain Computer Knowledge mein ek bar phir se aapka welcome karti hun ! Aaj ki hamari is post mein hum janenge ki C language kya hai? C language ki history? C languge ke Features? C language middle aur low dono kaise hai? etc. Agar aap C ke bare mein bahot hi simple language mein puri jankari paana chahte hain to is post ko last tak padhein.

C Programming Language kya hai (What is C Programming Language)?:-


What is C Programming

C ek bahot hi popular programming language hai, jise Middle Level Language bhi kaha jaata hai. C language ka use Application aur System Software create karne ke liye kiya jaata hai. C language Structured Programming ko support karti hai aur C language bahot hi old language hai, lekin iski efficiency, structure, better performance etc. ki wajah se aaj bhi is language ko use kiya jaata hai. Ise Procedured Oriented Programming Language bhi kaha jaata hai.

Ye to thi technical baatein jo maine aapko batayi, lekin simple language mein agar kahein to C language ka use user computer se communicate yaani baat cheet karne ke liye karta hai. Matlab jo kaam hum computer se karwana chahte hain, us kaam ko hum C language ke dwara program banakar usmein jo baatein hum computer se kahna chahte hain use program mein rule wise likh dete hain, us program mein likhi gayi baatein hi Instruction kahlati hain, jinhein computer samajh paata hai aur user dwara diye gaye kaam ko complete karta hai. Computer ko instruction dene ke liye bhi C programming mein kuch rules ko follow karna hota hai, jo ki Syntax Rule kahlate hain.

C Programming ka itihaas (History of C Programming Language):-


C programming language ko sabse pahle Martin Richards ne 1966 mein BCPL (Basic Combined Programming Language) ke naam se banaya tha. Kuch time baad Ken Thompson ne Basic Unix Operating System ko banaya.

Uske baad finally Dennis Richie ne 1992 mein Bell Laboratory mein B language par aur kaam kiya aur use aur zyada develop karne ke baad uska naam C language rakha gaya. C language ko banane ke baad Dennis Richie aur Ken Thompson ne sath milkar Unix Operating System ka development kiya.

C Programming Language ki visheshtayein (Features of C Programming Language):-

Features of C Programming

C language ke features ke kaaran hi aaj is language ne apni ek alag jagah banakar rakhi hai. To aiye aagey badhte hain aur jante hain C Language ke Features –

(1) C ek aisi language hai, jiske dwara Application aur System software dono develop kiya jaa sakta hai.

(2) C language ke code ko seekhna easy hota hai kyonki ye simple English language mein hi hote hain.

(3) C ek case sensitive language hai, jisme kisi letter ka small ya capital variables ko alag alag maana jata hai.

(4) C program ko hum different-different machine par execute kar sakte hain, lekin ye language platform independent nahi hai.

(5) Assembly language ke baad C ko sabse fast language maana jaata hai. Iska compilation aur execution fast hota hai.

(6) C mein hum kisi program ko chote-chote module mein divide kar sakte hain, jo ki Function kahlata hai. Kisi bhi program ko module mein divide karne se program ko manage aur debug karna easy hota hai.

(7) Ismein new features add karna easy hota hai, jismein user apne khud ke banaye hue Function ko bhi add kar sakta hai.

(8) C language mein humein bahot saare in-built Function yani pahle se bane banaye Function bhi mil jaate hain, jinki help se hum program ko jaldi bana paate hain.

C Programming Language Middle aur Low dono kaise hai (How C Programming Language Middle and Low Both)?:-


How C Programming Middle and Low Both

C ek bahot hi useful language hai. Ye language High Level aur Low Level Application Software dono bana sakti hai. C ek aisi language hai, jiska use low level language ki programming karne ke liye bhi kiya jaata hai, jismein System Application create ki jaati hai. Sath hi ye High Level Language ko bhi support karti hai.


C Programming Language ko thik se seekhna kyon zaruri hai (Why C Programming Language is Important)?:-

Aaj ke time mein bahot saari programming languages ka development ho raha hai aur kayi aisi languages hain jo chalan se bahar bhi hoti jaa rahi hain. Wahi C ek aisi language hai, jisne apni jagah ko banakar rakha hai. C  language ko lagbhag har degree level ke course mein sabse pahle padhaya jaata hai, jaise – MCA, PGDCA, O Level, B.Tech, BCA etc. Har course mein C language ko sabse pahle isliye padhaya jaata hai, kyonki agar hum C language ko seekh lete hain to koi bhi programming language seekhna humare liye easy ho jaata hai, wo isliye kyonki C language mein jo Keyword, Syntax use hote hain, wo hi milte julte other programming languages mein bhi use hote hain.


Is post mein humne bahot hi asaan language mein C language ke bare mein jaana. Agar aap aagey bhi is tarha ki post ko padhna chahte hain to humse jude rahein.


Mujhe ummeed hai doston C Programming Language in hindi ki ye post apko pasand ayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko  chahiye computer se related to aap mujhe comment kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks! 

2 comments: