Hello friends, kaise hain aap sab? Main ummeed karti hun ki aap sab acche honge. To chaliye aaj hum baat karte hain ‘Digital Locker’ ki. Ji haan doston Digital Locker kya hai? Iska use kyon kiya jaata hai? Aaj main ye sab aapko is post mein batane waali hun.
Digital Locker Prime Minister Narendra Modi dwara July 2015 mein launch kiya gaya tha, jo ki Modi Ji ke Digital India Program ka hi important part hai.
Digital Locker ko hindi mein ‘Ankiye Tijori’ bhi kaha jaata hai. Iska use karke hum apne Passport, Birth Certificate, Educational Documents etc. ko online store kar sakte hain. Lekin is suvidha ka laabh uthane ke liye aapke paas Adhar Card hona bahot zaruri hai, kyonki ye facility sirf Indian Cityzens ke liye hi hai. Dusri country ke log iska use nahi kar sakte. Ispar account banane ke liye aapke paas Adhar Number hona zaruri hai.
Digital Locker ki sabse badi khasiyat ye hai ki ismein documents upload karne ke baad aapko kahi bhi apne documents ki copy lagani ho to aap wahan par kewal apne Digital Locker ka Link paste karke apna kaam asaani se kar sakte hain. Waha par aapko kaagazon ka use nahi karna padega. Is Digital Locker ke dwara aapko nakli documents ya documents mein kisi prakaar ki mistake ka khatra nahi hota aur iski wajah se koi bhi vyakti aapke sath dhokha nahi kar sakta.
Agar aap bhi apna Digital Locker open karna chahte hain to ye bahot hi asaani se open ho jayega. Iske liye bas aapko http://digitallocker.gov.in/ login karna hoga. Uske baad aapko ek Id banana hogi. Id banane ke baad aapko Adhar Card Number login karna hoga. Uske baad aapse kuch aise questions puche jayenge jo aapse related honge. Ab aapka account create ho jayega. Is prakaar aap apna khud ka Digital Locker banakar usmein apne documents ko humesha ke liye upload kar sakte hain.
Mujhe ummeed hai doston Digital Locker in hindi ki ye post apko pasand ayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko chahiye computer se related to aap mujhe comment kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks!
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDelete