Hello friends, welcome to Zarnain Computer Knowledge. Aaj hum jis topic par bat karne wale hain wo hai PGDCA. Ji haan doston, jaisa ki hum sabhi ko pata hai ki aaj ka daur computer ka hai. Aaj har vyakti computer field mein aage badhna chahta hai, kyonki sabko pata hai ki aaj har kaam computer par hi kiya jaata hai. Isliye meri aaj ki post unhi logon ke liye hai jo graduate ho chuke hain aur computer sikhna chahte hain. Is post me hum janenge PGDCA kya hai ? PGDCA krne ke fayede ? PGDCA kitne samay ka hota hai ? PGDCA ka Syllabus ? PGDCA ki Fees ? PGDCA kab join kr sakte hai ? PGDCA kahan se kare ? PGDCA ke baad Job etc.
What is PGDCA (PGDCA kya hai)?:
PGDCA ka full form Post Graduate Diploma in Computer Application hai. PGDCA ek Computer Diploma hai, jise Graduation ke baad kar sakte hain. Graduation karne ke baad agar aap apna career banana chahte hain to ye course apke liye bahut hi accha hai . Aapne chahe kisi bhi subject se graduation kiya ho, aap is course ko kar sakte hain. Bas apki English acchi honi chahiye, kyunki iska total syllabus English me hota hai. PGDCA karne ke baad kahin bhi job ke liye aapse computer diploma manga jata hai to aap iska certificate laga sakte hain. PGDCA karne ke baad aapko computer operate karna bahut acche se ajata hai.
Advantages of PGDCA Course (PGDCA course karne ke fayede)?:
Waise to insaan jo bhi padhai karta hai, jis prakaar ka bhi gyan prapt karta hai, usse use fayeda hi milta hai. Usi prakar PGDCA karne ke bhi bahut se advantages hain, jo mai niche bata rhi hun-
1. PGDCA karne ke baad apko MBA aur MCA me direct admission mil jata hai.
2. Computer ki basic knowledge to milti hi hai sath hi ise karne se apko programming aur web development jaisi chizein bhi seekhne ko mil jati hain.
3. PGDCA karne ke baad kuch universities me aapko MCA ke 3rd semester me admission mil jata hai.
4. Government aur private job ke liye PGDCA ek accha option hai.
5. PGDCA karne ke baad aap khud ka online business, coaching classes, computer center khol sakte hain.
6. PGDCA karne ke baad aapko computer ki acchi khaasi knowledge ho jati hai. Is knowledge ka use karke aap khud ka Blog bhi bana sakte hain, jo aapke career ke liye ek accha option hai.
When we can join PGDCA Course (PGDCA course kab karein)?:
PGDCA ek computer diploma hai, jise graduation se pahle kar hi nhi sakte. Aapne B.A., B.Com, BSc etc. kuch bhi kiya ho aap PGDCA me admission le sakte hain. Matlab PGDCA me admission lene ke liye aapka graduate hona zaruri hai.
Duration of PGDCA Course (PGDCA course kitne time ka hota hai)?:
PGDCA 1 saal (Year) ka computer course hota hai, jisme 6-6 mahine (Month) ke 2 semester hote hain.
Fees of PGDCA Course (PGDCA course ki fees):
PGDCA ki fees har university me alag-alag hoti hai. Ye lagbhag 12000 se lekar 35000 tak hoti hai.
- CCC Kya Hai? Puri Jankari
- BCA Course Kya Hai
- Introduction to a Computer in hindi
- Types of Computer in hindi
- Microsoft Word Kya Hai
- MS PowerPoint Kya Hai
- Internet Kya Hai? Puri Jankari
Syllabus of PGDCA Course (PGDCA course ka syllabus)?:
PGDCA ka syllabus har university me alag-alag type se tayar kiya jata hai, lekin har university ka 90% syllabus same hi hota hai. PGDCA me padhaye jane wale course is prakar hain-
1. Computer Appreciation and Introduction to Operating System.
2. Office Automation.
3. Programming in ‘C` with Data Structure.
4. Financial Accounting with Tally.
5. Web Technology.
6. Database Management System (Oracle).
7. Data Communication and Networking.
8. Oop with Java Programming.
9. VB .Net.
10. MS PowerPoint Presentation.
11. Project.
University for PGDCA Course (PGDCA course karne ke liye university):
IGNU, Rabindranath Tagore University, Punjab National University, Sikkim Manipal University, Makhanlal Chaturvedi University se aap PGDCA kar sakte hain. Iske alawa bhi kayi colleges aur universities hain jo ye course karati hain.
Job Scope After PGDCA Course (PGDCA Course ke baad job)?:
PGDCA ke baad aap jis type ki job kar sakte hain, wo is prakar hain-
- Computer Operator ki job.
- Computer Teacher ki job.
- Computer Software se related jobs.
- Database Manager ki job etc. kar sakte hai.
Iske alawa bhi aap computer se sambandhit koi bhi job kar sakte hain, ya khud ka online business, coaching classes, computer institutes etc. khol sakte hain.
Is post me aapne jana PGDCA kya hota hai? aur isse judi saari baaten apko yahan par batayi gayi. Main ummeed karti hun ki hamesha ki tarha is baar bhi aapko meri ye post pasand aayi hogi. Agar aapko meri aaj ki ye post achhi lagi ho to ise apne friends ke sath share karna na bhulein.
Mujhe ummeed hai doston PGDCA in hindi ki ye post apko pasand ayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko chahiye computer se related to aap mujhe comment kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks!
Jankari Dene ke liye apka shukirya
ReplyDeleteMost welcome Mr Ansari
DeleteLive for Life is a helpful platform helping women live life on your terms. Our women life coach Atlanta helps them overcome barriers in financing, marketing, business startup, and limited thinking. Our proven business coaching sessions are enabling women around the world to adopt a revolutionary new way to live, work and lead.
ReplyDeleteAwesome information , thanks a lot
ReplyDeleteskandsolution