Thursday, 26 April 2018

Data Communication Kya Hai?

Data Communication Kya Hai

Communication means 2 ya 2 se zyada logon ke beech information ya data ko send aur receive karke aapas mein relation banana hota hai.

Computer communication means computers ke beech aapas mein relation create karna hota hai, jisse computer ke medium se data ek place se dusre place par easily aur quickly send kiya jaa sakta hai, lekin iske liye computer mein Internet se computer ka connect hone zaruri hai, jisse ki Data Dommunication easily aur quickly ho.

Is prakaar hum ye kah sakte hain ki ek computer se dusre computer ya ek person se dusre person ke beech data ya information ke sending aur receiving method ko communication kahte hain.
Communication basically 2 types se hota hai—

(i) Person to Person
(ii) Mass Communication

(i) Person to Person: 


Person to Person Communication

Is type ke communication mein 2 ya 2 se zyada person ke through aapas mein directly information ko send ya receive kiya jaata hai.

(ii) Mass Communication: 


Mass Communication

Is type ke communication mein persons ke group ko kisi special person ke through information se represent karaya jaata hai. Is communication ka use Internet aur News Channels mein zyada hota hai, jisse informations dusre logon mein pahunchayi jaati hai.

Method of Communication:


Communication process mein jin methods ka use hota hai, unhe Communication System kahte hain. Kisi bhi communication system ke basically three components hote hain—

Method of Communication
(i) Sender
(ii) Medium
(iii) Receiver

(i) Sender: Sender wo person ya machine hota hai, jo kisi information ya data ko electronic signals ya electromagnetic waves mein change karke kisi medium se receiver tak send karta hai.

(ii) Medium: Medium wo method ya channel hota hai, jismein hokar electronic signal ya electromagnetic waves sender se receiver tak jaati hai.

(iii) Receiver: Receiver wo person ya machine hota hai, jo sender ke dwara send kiye gaye signals ko receive karke main message ya information mein change karta hai.

Kinds of Communication:


Kinds of Communication

(i) Oral Communication: Is type ke communication mein informations ko oral form mein send ya receive kiya jaata hai, e.g:- Face to face communication, Telephone par communication, Intercom ke through communication, Mobile phone ke through communication etc.

(ii) Written Communication: Is type ki communication mein informations ko written form mein ek place se dusre place tak pahunchaya jaa sakta hai, e.g:- Letter ke through, Fax ke through, Pager ke through, Email ke through, SMS ke through etc.

Communication Modes:


Data ke flow ya communication ke direction ke anusaar three types ke communication modes ya transmission method use kiye jaate hain—

Communication Modes

(i) Simplex Mode
(ii) Half Duplex Mode
(iii) Full Duplex Mode

(i) Simplex Mode: Ismein data ya information ka transmission sirf ek hi direction mein hota hai. T.V. (Television), Radio etc. simplex mode ke hi example hain.

(ii) Half Duplex Mode: Half Duplex Mode mein data ya information ka transmission dono direction mein ho sakta hai, bas ismein main rule ye hota hai, ki ek time mein sirf ek hi direction mein data transmit hoga. Walkie-talkie half duplex mode ka ek example hai.

(iii) Full Duplex Mode: Data communication system mein full duplex mode sabse zyada successful, useful aur reliable hai, kyonki ismein data ya information ka transmission both direction mein ho sakta hai. Ismein ek hi time mein ek hi computer dusre computer ke liye transmitter aur receiver dono ho sakta hai. Telephone, Mobile, Video, Chat etc. full duplex mode ke important example hain.

Iske use se sabse bada benefit ye hai, ki ismein koi bhi transmission successfully hota hai aur ismein error aane ki possibility bhi na ke barabar hoti hai.

Computer Network Kya Hai

Mujhe ummeed hai doston Communication in hindi ki ye post apko pasand ayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko  chahiye computer se related to aap mujhe comment kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks!

2 comments: