Jaisa ki hum sabhi jante hain ki computer human being ki life ka ek aisa important part ban gaya hai, jiska use har field mein ho raha hai. Computer ek aisa development hai, jisne human being ke rahen sahen ko puri tarha se change karke rakh diya hai.
Computer ka sabse important part C.P.U. (Central Processing Unit) hota hai. C.P.U. ke dwara hi computer mein hone wale saare calculation ya process ko complete kiya jata hai. C.P.U. ke andar ek board laga hota hai, jise Motherboard kahte hain, jo ki computer ka main part hota hai. Motherboard par hi computer mein use hone wali kuch aur devices bhi lagi hoti hain, jinka use different kaamo ke liye hota hai.
Input Aur Output Devices Kya Hai
Input Aur Output Devices Kya Hai
Computer mein use hone wali internal devices is prakaar hain, jinka use different different purpose ke liye hota hai—
1. Motherboard
2. Power Supply
3. Computer Cabinet
4. Parallel & Serial Ports
5. Keyboard Connector
6. Fan
7. Reset Switch
8. Cards
9. Link Buses
10. Modem
1.Motherboard:
Motherboard computer ka main part hota hai, jise System Board bhi kahte hain. Ye computer ka spine hota hai, jise Communication Channel ke bhi naam se jaana jata hai. Motherboard computer ke sath sath dusri devices aur Robot me bhi use hota hai. Computer ka structure motherboard mein lage Components, Microprocessor aur Primary Memory se banta hai. Motherboard ka important part uska chip set hota hai, jiske medium se computer program ko run karaya jata hai.
2.Power Supply:
Computer ek electronic machine hai, jise chalane ke liye power supply bahot hi important hai. Bina power ke computer ko chalane ke bare me socha bhi nahi ja sakta. Computer mein hone wali power supply 2 type se hoti hai—
I. SMPS (Switch Mode Power Supply)
II. UPS (Uninterrupted Power Supply)
3.Computer Cabinet:
Computer cabinet computer ke C.P.U. (Central Processing Unit) ke dhakkan ko kahte hain , jo C.P.U. ke internal parts ko cover karta hai. Computer cabinet generally 2 model mein market mein available hai—
I. Tower Model
4.Parallel & Serial Ports:
Parallel port 25 pin ka Female Connector hota hai, jab ki serial ports 9-25 pin ka Male Connector hota hai. Parallel port ke dwara data ek time par ek sath 8 bit data ko transmit karta hai aur serial port mein data ek ek bit karke transmit hota hai. In dono ports ka use data transmission ke liye kiya jata hai.
5.Keyboard Connector:
Keyboard connector ek aisi device hai, jiska use keyboard ko computer se attach karne ke liye kiya jata hai. Generally keyboard ko system se attach karne ke liye 5 pin ka port use hota hai. Lekin aaj kal PS/2 bhi market mein available hai, jiska use user apni zarurat ke hisaab se karta hai.
6.Fan:
Fan ka use computer mein temperature ko control karne ke liye hota hai. Computer mein generate hone wali garmi isi ke dwara control ki jati hai. Ye computer chip ke thik upar laga hota hai.
7.Reset Switch:
Reset switch ek aisa button hota hai, jiska use computer ko reboot karane ke liye hota hai. Is button ka use karke hum computer ko re-start kar sakte hain.
8.Cards:
C.P.U. me motherboard me bane slots me different type ke cards hote hain, jinka use alag alag purpose ke liye hota hai. Sound card, Display card, LAN card, TV Tuner card etc. computer mein use hone wale cards hain. Sound card ka use computer mein voice ke input/output process ke liye hota hai. Isi tarha display card ka use screen par information ko display karane ke liye hota hai. Agar user apne P.C. ko network se connect karna chahta hai to uske liye wo Network Card ka use kar sakta hai, jise NIC (Network Interface Card) bhi kaha jata hai.
9.Link Buses:
Link buses ka use kisi ek component ko kisi dusre component se attach karne ke liye kiya jata hai. Link buses basically three types ki hoti hain, jinka use different type ke kaamo ke liye hota hai—
I.Data Bus
II.Address Bus
III.Control Bus
Data bus ka use computer mein data ko ek unit se dusri unit tak le jane ke liye kiya jata hai, jo ki Bi-directional hota hai.
Address bus ka use hum us memory location ko address bhejne ke liye karte hain, jaha se hume data ko store ya retrieve karna hota hai.
Control bus jise command bus bhi kahte hain, ka main kaam signal ko synchronize karna hai.
10.Modem:
Modem ka use computer mein internet chalane ke liye kiya jata hai. Ye device digital signal ko analog signal mein convert karke receiver ko send karti hai aur jab ye signal receiver tak pahonch jata hai to modem ise phir se uske original form yaani digital signal me wapas convert kar deta hai, is technique ko Modulation aur DeModulation kahte hain.
Mujhe ummeed hai doston Internal Structure of Computer in hindi ki ye post apko pasand ayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko chahiye computer se related to ap mujhe comment kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki.....Thanks!
No comments:
Post a Comment