Thursday, 14 February 2019

Antikythera Machanism : 115 Saal Pahle Hui Thi Khoj

Antikythera Mechanism :  


Antikythera Mechanism

Hello doston, main Zarnain Nisar ek bar phir apke samne hun. Aaj hum janenge ki world ka sabse pahla computer kaun sa hai? Aaj tak hum yahi samajhte the ki vishw ka sabse pahla computer Abacus hai. Lekin bahut sari researches ke bad ye bat samne ayi hai ki duniya ka sabse pahla Analog Computer, Antikythera Mechanism hai. To isi ke sath aiye agey badhte hain aur jante hain Antikythera Mechanism kya hai. Antikythera ki history. Antikythera ke uses. Antikythera ka inventor etc. ki puri jankari.

Antikythera Pranali Kya Hai (What is Antikythera Mechanism in hindi) : 


Antikythera mechanism ko world ka pahla Analog Computer mana jata hai, jiska proyog Greek ke logon dwara suraj, chand aur grahon ki sthiti janne ke liye hota tha. Antikythera ka use future dekhne ke liye bhi kiya jata tha. Iske sath hi ye device calculation ka bhi kaam karti thi.

Antikythera mechanism 2000 saal purana hai. Ye device 1901 mein scientists ko antikythera ke jahaz par mili thi, jiske kaaran iska naam Antikythera Mechanism rakha gaya.

Antikythera Pranali Ka Itihas (History of Antikythera Mechanism in hindi) : 


Antikythera Mechanism

Antikythera ka itihas bahut purana hai. Lagbhag 115 saal pahle Antikythera ka avishkar kiya gaya tha. Google ne 17 May 2017 ko apne home page par iski 15 anniversary par Doodle lagaya tha.

Ek bat main apko yaha bata dun ki 1902 mein Valerion Stain ko khatm hue ek jahaz se Antikythera Mechanism mila tha. Kaha jata hai ki ye jahaz to 2 saal pahle hi mila tha, lekin Valeriol Stain ko ye device 2 saal bad mili.


Ye device dekhne mein goal akaar ki thi aur iska color bhi golden tha. Iski banawat bahut hi jatil thi. Isme 25 se 30 kanso ke gear lage rahte the.

Is post me apne jana ki antikythra mechanism kya hota hai. Ise kis liye use kiya jata tha. Ankythera ki khoj kisne ki. Antikythera ka itihas etc.


Mujhe ummeed hai doston Antikythera Mechanism in hindi ki ye post apko pasand aayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko chahiye computer se related to aap mujhe comment bhi kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks! 

1 comment: