Google Pay ek UPI (Unified Payment Interface)
based App
hai. Ye App apko payment ki suvidha provide karta hai. Iske dwara aap paise send aur receive kar
sakte hain. Iske alawa aap Pay se achhe khase paise bhi kama sakte hain. To
chaliye isi ke sath hum agey badhte hain aur jaante hain Google Pay kya
hai? Google Pay ke features. Google Pay par account kaise banaye? Google Pay se
paise kamane ka tarika etc.
Google Pay kya hai (What is Google Pay in hindi):
Google Pay
ek Digital
Payment App hai, jise 19 September 2017 ko India ke Finance Minister Arun Jetli
ne launch kiya tha. Ye App Bhim aur PhonePe ki tarha hi kaam karta hai. Google
Pay mein bhi aapko apna Bank Account link karna hota hai, uske baad aap jitna
chahein utna Payment kar sakte hain.
Google Pay India mein hi bana hai, jisko
kewal India ke liye hi banaya gaya hai. Is App mein ek bahut hi khaas feature
available hai, jiska naam ‘Tap For Cash Mode’ hai. Is feature ke dwara aap bina
apni identity bataye kisi ko bhi paise send aur receive kar sakte hain. Google
Pay mein Multiple
Layer Security ka use kiya gaya hai, isliye ye puri tarah se secure hai.
Iske alawa Pay ke aur bhi kayi feature hain, jiske bare mein niche bata rahi
hu-
Google Pay ke Features (Features of Google Pay in hindi):
Google Pay ke features to Bhim aur PhonePay ki tarah hi hain,
lekin jo ek aur khaas feature ismein add kiya gaya hai iska naam “Tap For Cash
Mode” hai. Jiske dwara aap bina apni identity bataye kisi ko bhi money send kar
sakte hain.
Ye high frequency sound ke dwara kisi dusre
mobile ko identify karke kuch seconds mein hi money send aur receive karta hai.
Google Pay mein aur bhi kayi features
hain jo ise dusre Apps se khaas banata hai-
(1)
Account:- Google Pay mein signup karne ke liye aapko koi bhi id proof ya adhaar card ki
zarurat nahi padti hai. Bas yaha par apko apna mobile number dalkar OTP ke
dwara verify karna padta hai. Iske baad aap apne account ko us mobile number ke
dwara link kar sakte hain jo ki bank mein registered hai.
(2)
Security:- Google Pay
mein apka paisa puri tarha se save rahta hai, kyonki ismein Wallet ka use nahi
hota. Jab bhi aap kisi ko paise bhejte hain to wo direct bank account mein
jaata hai. Ismein 24/7 Multi Layer Security ka use kiya gaya hai.
(3)
Payment :- Is App mein
apko bahut saare payment options milte hain, jismein aap Account Number
aur IFSC
code ke dwara kisi ko bhi money transfer kar sakte hain. Iske alawa aap UPI ID, QR
aur Phone number
dwara bhi asaani se payment kar sakte hain.
(4)
Tap Mode :- Ye ek aisa
option hai jismein aapko receiver ki id jaanne ki zarurat nahi padti. Aap kisi
ki bhi pahchan jaane bina payment kar sakte hain. Ismein Audio QR
(Ultrasonic) Mode Technology ka use kiya gaya hai, jisse aap kisi bhi
person jaise- dukandaar, dudh wale, sabzi wale etc. ko payment kar sakte hain.
(5)
Transaction Chat :- Ye whatsApp
chat ki tarha hi hota hai, jisse aap Transaction History ko check kar sakte
hain ki kisko kab aur kitne paise aapne bheje hain.
(6)
Transaction Charges Free :- Google Pay
mein aapko 50,000
tak ke payment par koi bhi charges nahi dena padta hai. Ye bilkul free hai.
(7)
UPI Based :- UPI based
hone ki wajah se aap kisi bhi dusre bank mein direct money transfer kar sakte
hain.
(8)
Bank :- State Bank of India (SBI), Bank of
Baroda, HDFC, Punjab National Bank (PNB) ke sath hi ye total 55 banks ko support karta hai.
(9)
Language :- Google Pay 7 languages
ko support karta hai, jismein se aap apni facility ke anusaar koi bhi language
select kar sakte hain.
(10)
Money Earning Scheme :- Is App mein
bahut saari schmes bhi chalti hain, jiska use karke aap paise bhi kama sakte
hain. E.g:- Scratch
option, Referral link, Lucky winner etc. ka use karke aap bahut sare
paise earn kar sakte hain.
Google Pay Download Kaise Karein (How to Download Google Pay in hind) :
Waise to aap Google Pay Store se bhi ise download kar sakte hain,
lekin agar aap niche diye gaye mere link
se ise download karte hain to aap 51 Rs. earn karenge-
(1) Sabse pahle
aap Download Google Pay par click karke ise download karke install kar le.
(2) Ab aap Pay
ko open kar le aur apna number dalkar OTP ke dwara ise verify kare.
(3) Ab aap
Google Pin jise Pattern Lock bhi kahte hain, ko set kar le.
(4) Ab bank mein
register hue mobile number ka use karke aap bank account ko Google Pay App se
link kar le.
(5) Saare steps
complete hone ke baad aapko UPI ID daalna hoga jiske baad aap ab Google Pay ka
use kar sakte hain.