Jaise jaise zamana aagey badhta jaa raha hai waise waise hi insaan machines par depend hota jaa raha. Wo apne chote chote kaam ko machine dwara karne ki koshish karta hai. Isi prakar Robot bhi ek aisi machine hai, jise insaan ne apne kaam ko asaan karne ke liye banaya hai. To chaliye aagey badhte hain aur jaante hain Robotics ki puri jankari hindi mein.
Robotics kya hai (What is Robotics in hindi)? :-
Robot ke manufacturing mein kiye jaane wale kaam jaise Robot ki designing, Robot ka development, Robot par Research etc. Robotics ke under mein hi aate hain. Robot kaam to insaano ki tarha hi karta hai, lekin Robot ka khudka mind nahi hota, balki iske brain mein Microprocessor lagaya jaata hai, jisse ki ye human being ki tarha kaam karta hai.
Ek Robot ke mainly 5 parts hote hain –
(1) Sensor System
(2) Muscle System
(3) Structure Body
(4) Brain System
(5) Power Source
- MS PowerPoint Kya Hai
- C Programming Language Kya Hai
- Momo Challenge Kya Hota Hai
- Digital Locker Kya Hai
- Content Writer ka Career
- MCA Course kya hai
Robots kitne prakaar ke hote hain (Types of Robot in hindi) :-
Robot mein is prakaar ke computer programs daale jaate hain ki ye difficult se difficult kaam ko bhi asaani se karne ki ability rakhta hai. Robot Mechanical Software aur Electronic Engineering ke use se banta hai. Alag alag field mein kaam karne ke liye alag alag prakaar ke Robot banaye jaate hain –
(1) Medical Robots
(2) Industrial Robots
(3) Domestic Robots
Medical Robots hospital mein patients ki surgery ke liye use kiye jaate hain. Industrial Robots plots mein welding karne, polish karne aur painting karne jaise kaamo mein help karne ke liye use kiye jaate hain. Industrial Robots zyadatar khatarnaak kaamo ke liye use kiye jaate hain. Wahi Domestic Robots ghar ke saare kaam karne ke liye use hote hain.
Robotics mein Career kaisa hota hai (Career in Robotics in hindi)?:-
Agar aap science aur technology dono mein interest rakhte hain to Robotics mein career banana aapke liye ek accha option hai. Is field mein ek well trained person ki salary 50, 000 se 1 Lakh ke beech hoti hai aur jaise jaise is field mein experience badhta hai, waise waise hi ismein salary bhi increase hoti hai.
Is post mein maine aapko bataya ki Robotics kya hai, Robotic ke prakaar, Robotics mein career kya hai etc.
Mujhe ummeed hai doston Information of Robotics in hindi ki ye post apko pasand aayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko chahiye computer se related to aap mujhe comment bhi kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks!
No comments:
Post a Comment