Hello friends, main Zarnain Nisar ek baar phir aapke samne ek naya aur interesting topic lekar aayi hun jo ki ‘Career of Content Writer’ hai. Is post mein main aapko bataungi ki kaise aap online ghar baithe paise kama sakte hain.
Aaj har vyakti job paane ke liye bahot saare competitions ko face karta hai, phir bhi kahi na kahi wo apni job se satisfy nahi ho paata. Aise mein agar aap bhi apne career ko lekar tension mein hain aur chahte hain ki ghar baithe hi aap paise kama sakein to aap is article ko pura padhein kyonki ismein aaj main aapko Online paise kamane ka tarika batane wali hun, jise Freelancing Career ke naam se bhi jaana jaata hai.
Agar aap ek acche writer hain aur aap ye baat jante hain ki log aapki writing ko pasand karte hain to aap writing field mein apna career bahot hi asaani se bana sakte hain aur ek acchi salary paa sakte hain. Aur ye baat koi man gadan kahani ya guess nahi hai, balki ye baat main apne personal experience se bata rahi hun. Kyonki main apne blog ke alawa dusron ki site ke liye bhi likhti hun, jiske mujhe acche paise milte hain aur meri online earning hoti hai.
Mere hisaab se agar dekha jaye to aajkal sabse zyada Content Writer ki Jobs available hai. Content writer ki demand sabse zyada Websites, Television Channels, Magazines, Newspapers etc. ke liye hai. Jo aapko content likhne ke kaafi acche paise dete hain. Is field mein jitna aapka experience badhega aapki salary bhi uske anusaar increase hogi.
Content writer ki field mein aap 2 type se apna career bana sakte hain – (1) Kisi company ya office mein jakar likhna (2) Kisi company ya office ke liye ghar se likhna. Agar aap office jakar kaam karte hain to waha par aapko full time kaam karna hota hai jo ki har office ki alag alag timing aur salary par depend karta hai. Ghar par kaam karne se aap apni timing khud set kar sakte hain ki aap unke liye full time kaam karna chahte hain ya part time.
Jo writer ghar se kaam karta hai aur apni timing khud se set karta hai use Freelance Content Writer kaha jaata hai. Wo dusron ke liye swatantra hokar kaam karta hai. Aajkal freelancing career ka bahot zyada trend chal raha hai. Har koi aaj ghar baithe paise kamana chahta hai. Is freelancing career ko aajkal boys se zyada girls pasand kar rahi hain, jo apne writing talent ko ghar baithe hi apna career banakar paise kama rahi hain. Freelancing career mein aapko thoda alert bhi rahna padta h kyonki kuch log fraud bhi hote hain wo apna kaam to karwa lete hain lekin payment nahi dete to aise logon se bache.
- Internet Kya Hai? Puri Jankari
- Gmail Signup Kaise Karein
- Momo Challenge Kya Hota Hai
- Digital Locker Kya Hai
Ab aapke man mein bahot saare sawaal arahe honge ki aakhir ghar baithe kaun humein kaam dega? Kaha se main apne liye content writer ki job dhundu? Content writer banne ke liye kya qualities chahiye? To aiye main ye sab aapko aagey batati hun.
Content writer ki job ke liye aap ghar baithe apply kar sakte hain. Iske liye bahot saari social sites hain jahan par content writers hire kiye jaate hain jaise ki LinkedIn, Facebook groups etc. Iske alawa bahot saari aisi freelancing job sites hain jaha par aapko daily is type ki job posts milengi jaise www.freelancer.com, www.fiverr.com, www.upwork.com etc. Yaha par bahot saare freelancers hote hain jo apna kaam karwate hain aur us kaam ke aapko paise dete hain. Is prakaar aap ghar baithe hi online job paa sakte hain.
Ab aapka aakhri sawaal hai ‘Ek acche content writer kaise bane?’ To yaha main aapko bata dun ki koi bhi insaan perfect nahi hota. Shuru mein aap is field mein weak ho sakte hain, lekin insaan dhire dhire hi har chiz sikhta hai. Jitna zyada aap likhenge aapki writing skill utni zyada increase hogi. Isliye aap zyada se zyada likhne ki koshish karein aur ye bhi koshish karein ki aap bade bade writers aur bloggers ke articles ko padhein aur unke jaisa likhne ki koshish karein.
Content Writing karte time aapko in baton par dhyan dena zaruri hota hai –
(1) Jab aap likhe to koi bhi word ya information aapki ghalat na ho.
(2) Jo bhi likhe wo to the point ho.
(3) likhe aisa ki padhne walon ko aapki baat asaani se aur jaldi samajh mein ajaye.
(4) Content aise likhe ki readers ko aapke articles padhne mein interest aaye aur wo aapka content last tak padhe.
(5) Baato ko heading ya paragraph ke sath likhe.
Is tarha choti choti baato par dhyan dekar aap ek acche content writer ban sakte hain.
Is post mein aapne jaana Ghar baithe paise kaise kamaye ya Career in content writing in hindi. Is article mein maine puri koshish ki hai aapko easy language mein content writer ke career ki jankari dene ki.
Mujhe ummeed hai doston Career of Content Writer in hindi ki ye post apko pasand aayi hogi, aagey bhi main isi tarha ki information apke liye share karti rahungi. Agar apko meri ye post pasand ayi ho to please like and subscribe karein aur koi bhi information apko chahiye computer se related to aap mujhe comment bhi kar sakte hain, main puri koshish karungi apki help karne ki…..Thanks!
Thank you for sharing this article with us check out mine - bba in travel and tourism college in delhi
ReplyDeleteNice and interesting post,I appreciate your hard work,keep uploading more, Thank you for sharing valuable information article writing
ReplyDeleteNice and interesting post,I appreciate your hard work,keep uploading more, Thank you for sharing valuable information content writer
ReplyDelete